Gyan ka sagar

Saturday, 17 February 2018

Facebook Account (fb ID) deactivate ya band kaise kare

Facebook Account (FB ID) Deactivate kaise kare

Sabse phele ye samaj lete hai FB id deactivate karne se hota kya hai –
Facebook Account ko jab koi deactivate karte hai to uska account koi search nahi kar pate or uske jitne bhi photo ya video jo usne upload kiye hai bo kisi ko nahi dikhte par agar wo kisi ka friend hai to uski friend list me uska naam dikhta hai.
Account ko deactivate karne ke kai karan ho sakte hai jese aapke exam chal rahe hai or aap facebook se thoda dur rhana chate hai. 🙂
Deactivate karne ke liye apne Account me login kare.
Facebook accont ko deactivate kaise karte hai uski puri jaankari hindi me
Setting >> Security >> Deactivate yout account.
ya fir Direct us button par click kare
Ab jo Page khulega usme aapne Account deactivate karne ka karan puchega. aap koi select karle.
apne account ko deactivate karne ka karan select kare
kitne dinbaad aapka account automatic activate ho jaye ye bhi aap select kar sakte ho. or Last me Deactivate ki button par click karde.
Agar Aapne Facebook Page banaye hai to uske liye bhi pucha jata hai ki aap or kisi ko un page ka Admin bana de ya fir hamesa ke liye delete karde.

FB Account Delete Permanently in hindi | Facebook Account ko Hamesa ke liye Delete kaise kare

Facebook Account Permanently Delete krne ki aapki koi personal baja bhi ho sakti hai ya fir ho sakta hai aapne 2 facebook accountbana liye ho, jo bhi ho chaliye dekhte hai facebook account delete kaise karte hai.

Apne Facebook Account me Login karege sabse phele. uske baad is button par click kare
Ab ye Page khulega, Delete My Account ki button par click kare
facebook account permenent delete karne ke liye delete account par click kare
Click karne ke baad Aapke Account ka Password fir se daalna hai. jo code hai bo box me dale or last me Ok par click kare.
facebook ka password dale fir ok ki button par click kare account ko perment delete karne ke liye
Ab aapke saamne ek Message aayega –
facebook ka password dale fir ok ki button par click kare account ko perment delete karne ke liye
Message me likha hai ki aapka Account Deactivate ho gaya hai or 14 Din tak aap apne account ko login karke Deleteing ko Cancel kar sakte ho.
FB Account ko Delete karne ke 14 Din baad koi Tarika Nahi hai Account ko Bapas Recover Karne Ka.
Account ko Delete hone se rokne ke liye apne facebook account me login kare to aapke saamne ek aesa page aayega.
agar aap apne account ko delete hone se rokna chae ho to 14 din ke phele login karke cancle kar sakte ho
Aap agar chahe to 14 din se phele login karke Cancel Deletion ki button par click karke apne account ko bapas se activate kar sakte ho.
Agar aapko or koi bhi jaankari chaiye Facebook se related to aap comment karke puch sakte ho.
Thank you by Virat Singh
                                                             

No comments:

Post a Comment